Friday, 23 August 2013

Aaj zindagi ne farmaya hain, Kyon na kuch alag kiya jaye,
Roz subah ki chai to mithi hoti he hain,
Aaj kuch mithas is din mein laya jayein…
Samay ki ghadi toh chalti rahegi,
Kyon na aaj zindagi jeene ka naya matlab dhundha jayein...

Log kya kahenge  - Log kya sochenge yeh toh fizool ki baatien hain,
Kyon na aaj hum kya karenge ismein jyada gaur kiya jayein…
Khud ko badalte toh humne dekh hi liya,
Fir kyon log badal gaye kehke baat bigada jayein…
Kyon na khud jee le aur dusron ko bhi jene diya jayein…

Zindagi ko lafzo mein samajhana bada mushkil hain,
Kyon na khud samajh jayien aur dusron ko bhi samajhne diya jayein..
Paribhasha sabki alag hogi, ismein hume kya karna..
Kyon na hum apne paribhasha mein jeena sikh jayein..

Asan nahi zindagi has ke guzarna…  yeh kisne kaha?
Kisi kitaab mein likha toh nahi,
Kyon na zindagi ko hi ek haseen kitaab banaya jayein..
Kyon na aaj udhte parindo ki tarah hum bhi khulke jeena sikh jayein..
Kuch baatien toh ankhein nam kar deti hain,
Kyon na aaj aane wale haseen lamho ko bandh pardon mein sajaya jayein..


AREH AAJ ZINDAGI NE FARMAYA, KYON NA KUCH ALAG KIYA JAYEIN.. 

No comments:

Post a Comment